Friday, October 30, 2009

ईमानदार है ज़िन्दगी

****************** ईमानदार है ज़िन्दगी **********************

वो कहते हैं -
झूठ के तराजू में तुलते, रिश्तो का व्यापार है ज़िन्दगी
एक -एक सांस की किश्त भरता, साहूकार का उधार है ज़िन्दगी
विश्वास के पहिये पे चलती, धोखों की कतार है ज़िन्दगी
मुस्कराहट के बाँध से बंधी, अश्रुओं की धार है ज़िन्दगी
गिर के संभलने का मौका नहीं, ऐसी तेज़ रफ़्तार है ज़िन्दगी
तुम कैसे जीते हो बोलो, हमें तो नागवार है ज़िन्दगी

मैं कहता हूँ –
सच का दामन थाम के देखो, रिश्तों का आधार है ज़िन्दगी
हर -एक सांस की कद्र जानो तो, हीरों का अम्बार है ज़िन्दगी
भरोसे की कीमत को समझो, दोस्ती की बहार है ज़िन्दगी
दूसरो के गमो को बाँट के देख, खुशियों की फुहार है ज़िन्दगी
गरीबों के सर से पाँव हटा फिर, तेरी भी मददगार है ज़िन्दगी
जीने का असली मकसद तुम पाओगे, इतनी तो ईमानदार है ज़िन्दगी

*******************************************************

************Imaandaar hai zindagi**********************

Wo kahte hain -
Jhooth ke taraju me tulte, Rishto ka vyapaar hai zindagi
Ek-ek saans ki kisht bharta, sahukaar ka udhar hai zindagi
Vishwaas ke pahiye pe chalti, Dhokhon ki kataar hai zindagi
Muskurahat ke baandh se bandhi, Ashruon ki dhar hai zindagi
Gir ke sambhalne ka mauka nahi, Aisi tez raftaar hai zindagi
Tum kaise jeetey ho bolo, hamein toh nagawaar hai zindagi

Main kehta hun –
Sach ka daaman thaam ke dekho, rishton ka adhaar hai zindagi
Har-ek saans ki kadr jaano to, heeron ka ambaar hai zindagi
Bharose ki keemat ko samjho, dosti ki bahaar hai zindagi
Doosro ke gamo ko baant ke dekh, khushiyon ki fuhaar hai zindagi
Gareebon ke sar se paanv hata fir, teri bhi madadgaar hai zindagi
Jeene ka asli maksad tum paogey, itni toh imaandaar hai zindagi

*******************************************************

Thursday, October 1, 2009

Do Ghoont...

Jhilmilati chandni ne badkar
Rakha jo kadam jameen par
Bikhar gayi ek syaahi neeli
Maine do ghoont aur pi li

Taare bhi ab lagte sapne
Kal tak jo the mere apne
Fir kyun aj dushmani kar li
Maine do ghoont aur pi li

Jugnu bhi khone ke darr se
Nikla nahi hai apne ghar se
Sannate ne karvat badal li
Maine do ghoont aur pi li

Arzoo jiski woh roshni thi
Kismat ne lekin raat likh di
Haskar fir bhi haami bhar di
Maine do ghoont aur pi li